6 Feb 2010

Shav sadhana




Dear all,
Jai Gurudev

Tantra shastra aneko gutthiyon ke dwara ghira hua hai,aur ye gutthiyan tabhi sulajh pati hain jab inhe suljhaane ke liye aapke paas SadGuru ka aashray ho. Tantra Shastra me sarvadhik jatil koi sadhna hai to wo hai shav sadhna.
shamshan sadhna koi manghadant kriya ya sadhna nahi hai.tantra shastra me varnit anek gambhir sadhnaon me se ye ek hai jo ki manushya ko aath paashon se mukt kar poornta deti hai.ye aath pash hain:- Ghrina,Shanka, Bhay,Lajja, Jugupsa,Kul, Sheel aur Shakti

yaha baat shakti ki sunne me ajib lag shakti hai par poornta ke raste me ye bhi baadhak ho jata hai jab aap swayam hi karta ke bhaav me aakar swayam ko shakti-maan maanne lagte hain.jab ye bhaav rahega to kaise sambhav hai "isht- Laabh ya Isht-Darshan" .
aur in saare hi bandhano se mukt hone ke liye hi shamshaan sadhna anivarya ho jati hai.

shamshaan kriya ke sambandh me tantra updeshit karta hai ki ,shamshaan sadhna guru ke nirdeshan me hi karna chahiye, chita aisi hona chahiye jiske upar samskaar na kiye gaye hon,jis shav ko log yun hi bina kisi vishesh kriya ke jala dete hain aisi hi chita phal-prad hoti hai. isi kram me shav sadhna,mund sadhna aadi sampann hoti hai. par kya is kaal khand me itni sahaj ho sakti hai, shayad nahi....
Par aap sabhi ki jaankari ke liye main ek baat bata dun ki tantra shastra me varnit sabhi sadhnayen adham,maddhyam aur uttam ke bhed se athva pashu,veer ya divya bhav se ki ja sakti hain..isi prakar shamshan sadhna jaisi goodh kriya bhi teen roopon me hoti hai.
Tantrokt Sukshma SHamshaan Sadhna ke dwara ham we sabhi laabh prapt kar sakte hain jo labh Sthul SHamshaan sadhna ke hote hain.
kya aapne kabhi dhyan diya hai ki Tantrokt Guru Poojan namak jis amar kriti ko sadgurudev ham sabhi ke uddhar ke liye saunp gaye hain usme kya kya vilakshantaye hain.
Shayad haan aur shayad nahi bhi..... hai na.....
bhai vaise to us granth me varnit sabhi kriyaen bahut hi mahatvpoorna aur adwiytiya hai par us chhote se magar bahumulya granth me mansik poojan ke roop me jo prakriya hai wo to adbhut hi hai . shayad aap logo ko ye bharosa na ho par ye nitaant satya hai ki us poojan ke dwara sadgurudev ne ek aisi kriya hamare haathon me saunp di hai jisse ham hamaare sabhi asambhav kaarya sambhav kar sakte hain yahan tak ki Siddhashram ki prapti bhi us kriya se sambhav hai. us kriya ke prarambh me hi jis Beej mantra "Om Hroum" ka vivran hai jisse aatma va deh shuddhi ki jati hai .us beej mantra ko samasta uchch sadhak Divya beej ke naam se jante hain .jiska varnan itna sahaj nahi hai.
aur aap kaisi bhi avastha me ho ,apne bistar par hi is kriya ko kar sakte hain. hamari shayya hi shavashan hai ,aur us par baith kar ham nitya pratah kaal ,shri Guru-dev va Isht devta ka mansik poojan kar shav evam munda ka yatharth rahasya ghar baithe jaan sakte hain. kyunki Mansik Guru Poojan me Jo kram hote hain we wahi kram hain jo ki Sukshma Sadhna me varnit kiye gaye hain. arthat....
Kaam -krodhadi se poorna,Paap se kalushit apni deh ko 'Bhoot-Shuddhi' se pavitra kar apghat se mare huye shav ke roop me dekhna aur apne ko prathak samajh kar Drishta roop me rahe.phir drishya roop me shriddha ka chandan apne shav ko lagayen. aur us par baith kar apni sadhna me ekaagra chitt se ratt ho jayen.aisa karne par Shrir hi 'maha-shamshaan' me parinit ho jayega aur us Nikhil Tatva ko jaanne ka marg prakat ho jayega.
is sadhna ke labh kahe nahi ja sakte. kya aapne kabhi socha hai ki sdamanya divason me ham kitni bhi der baith kar sadhna kar lete hain par jaise hi grahan aata hai. koi khaas muhurta aata hai hamari ikshaa bilkul nahi hoti,man hamare p[ratikul ho jata hai,nakaratmak vichaar hamare man me bharte chale jate hain,sharir thak jata hai......... ....
aisa hona swabhavik hai are jo grah Surya aur Chandrma jaise Aatma aur Mansikta ke pratinidhi Grahon ko peedit kar dete hain unse bhala aapka man aur sharir kaise bach sakta hai ,aakhir jo bahar brahmaand me hai vahi to hamare bheetar bhi hai na.anya samay bhi vishesh divashon me aapke bhagya ki pratikoolta aapke sammukh apni badhaon ki senaa lekar khadi rahti hai .jo aapke saubhaagya aur aapke madhya rahti hai ..... aisi samasta sthitiyon ka nivaran Mansik Guru poojan roopi maha Astra se kiya ja sakta hai,ye mera swayam ka anubhut hai.
Aur yadi vishesh uplabdhiyon ko bagair shamshaan me jaye, paane ke liye Sadgurudev
se prarthana kar Tivra MahaKaal DIksha prapt kar lene se Shakti roopi chita aur Maha-Shamshaan ka sthapan aapke sharir me ho jata hai ,jisse aapka durbhagya samapt hokar maha shakti KUndlini ka bhedan hota hi hai.shava sadhana

1 comment:

  1. Sir,
    Main aapse baat karna chahunga. Akash Sinha 09874613953

    ReplyDelete